Nazm (Urdu)
Mahad se Lahad tak

Zikrillah ibadat hai
Ik wajd angaiz saadat hai
Momin ke wastey naimat hai

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Murda dil zinda hotey hain
Seney tabinda hotey hain
Kaifir sharminda hotey hain

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Hub-e-Panjtan (R.A) mein jena hai
Yeh Faiz ka ik ganjena hai
Ab paish-e-Niggah Madina hai

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Zahra (R.A) ke Laal ka kia kehna
Un khadokhal ka kia kehna
Un Aala khisal ka kia kehna

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Aaqa (PBUH) ki surat piari hai
Sou jan unhein par wari hai
Mushtaq yeh khalqat sari hai

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Haan jin se aansu jari hain
Jo akas-e-beidari hain
Wo aankhein Rabb ko piari hain

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Jab rozey ka deedar hua
Tab khatm har ik aazar hua
Zair ka baira par hua

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Qabrun mein utarey jaen gey
Jagg chor ke sarey, jaen gey
Sab Raj dularey jaen gey

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Mayyat jab qabr mein jaey gi
Jagg ki har bat bhulaey gi
Deedar-e-Nabi (PBUH) ka paey gi

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Jab hashr bappa ho jaey ga
Rabb jalwa numa ho jaey ga
Deedar-e-Khuda ho jaey ga

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

Kaifi par waqt wo aaye ga
Jab janib-e-Uqba jaey ga
Har raaz ayyan ho jaey ga

Parh La illaha illallah
Aey Hadi-e-Barr Haq Sall-e-Alla

- Nazm Number # 2
- Page Number # 177 - 182
- Book Name : Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Written and read by Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi Qadri Awaisi (Naatia Poet)

- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Available at: https://drive.google.com/file/d/1XpQd1aG_1SLMA7Fbb4SvBsgC989Qidg6/view

Address : Aastana Aalia Ghousia Awaisia Near Qasim Bagh Khanqah Sharif T/D Bahawalpur, Punjab Pakistan.

Content Maker
Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi is a Teacher, Artist, Naatia Poet, Writer and Mystic. He is illuminating the hearts of people through his intense Love for Allah, Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam), Ahle-Bait (R.A), Sahaba Karam (R.A) and Auliya Karam (R.A).
His book (Ashk-e-Aqeedat) has been published that is collection of
Hamd-o-Naat, Manaqib, Kafiyan, Qataat, Rubaiyat and Fardiyat in Urdu and Saraiki.
His other books that are in the process of publication are:
i- Aqwal-e-Kaifi
ii- Kaifyat-e-Kaifi
iii- Muqashafat-e-Kaifi (Volume-1)
iv- Muqashfat-e-Kaifi (Volume-2)
v- Bazuban-e-Khalq.
He has been conducting religious congregations and Spiritual Mahafils:
i- Mahana Mailad-e-Mustafa (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam) since 1987.
ii- Salana Mailad-e-Mustafa (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam) since 1987.
iii- Salana Mehfil Zikr-e-Ahl-Bait (RIZWANULLAH ALAIHE) since 1427 Hijri.